Monday, October 7, 2013

Method Of Zakat Amal, Amal ki Zakat Nikalnay Ka Tareka

Ye aik aisa raaz hai jis se hazaron amleen wakif nahin hain sirf kamleen ke irshad ke mutabiq amal kartay rahay aur isi ki taleem dusrom ko detay rahay zayada se zayada kisi sael ke jawab main ye farma detay keh kisi Ayat ya Ism ki zakat sawa lakh hai yani 125000 jo keh 41 din main puri karni hai, is ke siwa ye ilm nahin keh sawa lakh ki tadaad har Ayat ya Ism ki hai aur woh zakat ki kismon main se kis kisam ki zakat hai aya sawa lakh ki zakat ada karnay ke baad is amal se umer bhar ke liye kaam lay saktay hain ya waqti toor par, agar umer bhar ke liye amil ho jaye ga tou har rooz kisi makhsoos tadaad main parhnay ki zaroorat hai ya nahin.
Kisam Awwal: Amil apne naam ke adad ke mutabik 41 din rozana parhay tou woh amal aik dafa kaam de ga, humesha nahin. 
For Example: Agar kisi ka naam Asad hai tou us ke naam ke adad 65 hain tou woh 65 baar parhay ga. 
(Agar aap ko apne naam ke adad nahin pata tou yahan se phuch saktay hain)

Dusri Kisam: Jo amal parhna ho us ke haroof ki tadad jitni ho utni hazar martaba rozana 41 din parhay tou hamesha ke liye amil ho jaye ga. Amil is ka safe zaban ho jata hai phir ba'waqt-e-zaroorat sirf 1 baar parhna kafi hota hai.
For Example:
Amal = "Ya Wahhabu"
Haroof Ki Tadad = 04
Yani har harf ke badlay 1 hazar parhna howa tou ye tadad bahi 4000 

Tesri Kisam: Amal ke jitnay haroof hon, utnay sau (100) martaba rozana parhay. Ye zakat bhi aik hi baar kaam deti hai. Magar kisam awwal se behtar hai.
Example:
Amal = "Ya Wahhabu"
Haroof Ki Tadad = 04
Read = 400 Times

Kisam Charam: Zakat Sagheer: Amal ke qawaed qamri jitnay hon, utnay hi baar rozana parhay, ye zakat amli hai aur moatbar bhi
Example:
"Ya Wahhabu" ke adad qamri hain 14 tou is ko 14 baar hi parhain gey

Kisam Panjam: Zakat Kabeer: Amal ke adad qamri ko haroof-e-amal se zarb do aur hasil zarb ko rozana parho ye zakat sagheer se zayada kawi hai, hamesha ke liye amil ho jaye ga.
Example:
"Ya Wahhabu" 
Amal Ke Adad x Haroof Ki Tadad  =  Zakat Kabeer = 14x4= 56

Kisam Shasham: Zakat Akbar: Amal kabeer ke adad ko phir haroof ki tadad se zarb de kar rozana parhain, ye kabeer se bhi zayada kawi hai keh is Ism ke Mowwakil samnay akar amil se mulakat karain gey.
Amal Kabeer Ke Adad x Haroof Ki Tadad = 56x4 = 224
 
Kisam Haftam: Zakat Akbaer: Amal akbar ki tadad ko phir haroof ke adad se zarb de kar parhain, ye akbar se bhi zayada kawi hai, is Ism ke Mowakkil khadam ho kar har waqt sath rahain gey.
Example 224 x 4 = 896

Kisam Hashtam: Zakat akbar al-kabaer: ye akhri zakat hai yani amal  akbaer ki tadad ko phir haroof ke tadad se zarb de kar parhain is ko kabriat ahmar ya laal spaid kehtay hain.
Example 896 x 4 = 3584
Agar aap zakat ke baray main ab bhi nahin samajh payay aur aap koi amal karna chahtay hain aur kisi Ism ki zakat yani kitni baar parhna hai tou is baray main bhi yahan phuch saktay hain.

90 comments:

  1. How many days one should read for,zakat e e Akbar?

    ReplyDelete
  2. Main surah fil ki sakat ada karna chahti hoon. Please help me. JazakAllah

    ReplyDelete
  3. Aadad of surah feel are 5859....u wont b able to read it daily...so in that case u need to give zakat by using another formula....

    Pahli kism - 5859/2 =
    Doosri kism -- 5859/4
    teesri kism -- 5859/8
    fourth - 5859/16

    Jo bhi tadad aap kar sako ..upar wali calculation ka jo result ho utne tadad 40 days tak har roz padhe

    Agar koi galti ho to hanfi bhai islah farma de

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mujay kalma tayyaba ki zakat bata daen zakat akbar

      Delete
  4. Assalamu Alaikkum,
    Surah Yaseen Ayat 8 ki zakat akbar al-kabaer kaise calculate karte hain? 'Amal ke qawaed qamri' ka matlab kya hai aur isko kaise calculate karte hain?

    ReplyDelete
  5. When to read Ya hayyu Ya Qayyum and how would i know about zakat Kisam haftam (Zakat Akbaer) ? How much time should I read daily? Please answer the question.

    ReplyDelete
  6. Darood/Salavat 11 times

    Everyday “Allahus Samad” 1000 times……it is the second Ayet of Surah Ikhlas.

    Darood/Salavat 11 times.

    Iski Zakat Bata Dain.

    ReplyDelete
  7. Amal KB we start krna hay aur kya aam muslim ye amal kr skta hay?

    ReplyDelete
  8. aoa.
    meri wasifa YA ALLAHO prhna chahta hun 125000 bar in 40 days.
    kindly mjhe iss ki zakat ka bta den or kesay ada krni hai.
    mera name mohsan rizvi hai.

    ReplyDelete
  9. Ayat al karima ki zakat ada karna chahta hn please tadad batade

    ReplyDelete
  10. Or please yeh bhi batade kia koi parhez karna parega iski zakat k doran?kia jaan ko bhi khatra hota hai amal k doran badparhezi par

    ReplyDelete
  11. Aoa kindly send your g. Mail id

    ReplyDelete
  12. Aoa sir main janna chahti hn k, 40 days ka jo wazifa hai wo lafies bhi kr skti hain kya. I mean in periods kya wazifa jaari rkha jay ya nhi. Kindy tell me in detail. Main ya Allaho ka wazifa krna chahti hn i mean zkat ada krna chahti hn. Plz guid me

    ReplyDelete
  13. اسلام و علیکم
    darood mustaghas ki zakat kiya ha pls muja batane?

    ReplyDelete
  14. aslam alikum mujy isam " ya Wadoodo " ki zakat deni hai ..
    main " ya wadoodo " ism ka aik aik wazifa kerna chahta hun ... kya mere liye zarori hai k pehle zakat don or wazifa start kerun .. ya wazifa zakat ada kiye beghair bhe ker sakta hun .. kindly guide me jazak ALLAH

    ReplyDelete
  15. bhai jaan ager kisi surah ki zakat nikalni ho jis se hamesha k liye amil insan ban jata ha to us k liye kia treqa e qar ho ga kyu k kisi surah ki zakat daina bohat mushkil ha...kyu k aik surah main kai kai alfaz hote hain.............

    ReplyDelete
  16. can you tell me the name off any book which contains all methods of zaakaats of all Qurani Surahs?

    ReplyDelete
  17. As salamwalay kum hanfi.bhai.
    My app ke nigrani me.YA HADI ye ism ki jakat dena cahta hun. To app muje is ism ki adad aur is ki jakat kitni nikal ti hai. Aur ise rojana kitne martaba aur kitne din ka chilla hai. Ye baraye maherbani bataye.

    ReplyDelete
  18. huroof e zulmani ki zakat kese di jati hai ??

    ReplyDelete
  19. Bai Jan aslam aliqm me ye Janna chahta ho k kisi bi amal ki zaqat 125000 hoti he is k badbi 41 bin parna he ya asr shoro ho jJay ga

    ReplyDelete
  20. Salam alaikum, Bhaijaan mere aur meri walida key naam kay adad 270 qamri abjad sey hote hai, aur Ism azam banta hai Ya Kareem, ab mujhe ya maloom kerna hai key ya kareem ko kitni bar rozana wird karon takey mere jayez aur mushkilk kaam asan ho jaye,

    ReplyDelete
  21. A/alikom mera naam noman ha mja mera naam ka addad mellom krny hn ho ya woddodo ki zakat nikalni ha......plz mja guide krn.

    ReplyDelete
  22. Asalam-o-Alaikum
    mera name Danyal he me ne ye puchna he ke me kon si ism karo ke mere ghr me kabhi rizq ki kami na ho.

    ReplyDelete
  23. Mera name saifurrehmaN hy is k isme azam kya hy
    Aor zakat akber kis tra don

    ReplyDelete
  24. surah muzammil ki zakat kaise adaa kare?

    ReplyDelete
  25. Bismillah ki tadat zakat kya ho go sb say bare

    ReplyDelete
  26. hurf tagi ki zkat nikalne ka tarika

    ReplyDelete
  27. Hanfi bhai salam....i m shabana l have a question u are saying that there are about 8 types of zakat for any isam or ayat but sura falaq and all other sura have many ayat it is very dificult to do zakat of sura falaq or any ayat....so please guid me what will i do is there is any other method of zakat....i pray zakat of ayat kareema......i m also Doctor...

    ReplyDelete
  28. Very Good work May God Bless you for show truth to the public because you told the power of any name of Allah...

    ReplyDelete
  29. Bhai men ya wahabo Ka zikar with zakat krna chahta hun is ki ijaazat-e-aama hen na oor ye jlali to nai na...???

    ReplyDelete
  30. Sorah Al Qari'ah ki zakat ka tareeqa bta sakte hen ?

    ReplyDelete
  31. Assalamu alaikum.
    Mera sawal ye hai ki quran ki Sarah ki zakat pure ho jane par Yasser zakat ki bani Rahe to wird krna yani Rozana kuch tadad padhna zaruri hai? Agar shuru ke kise din wird krna bhul jaye to kya zakat zail ho gyi?
    Dusra sawal ye hai ki kya chalte firte wird kr skte hain ya waqt mukarrar krna hoga?

    ReplyDelete
  32. Ya raheemo ke amil bnne ke kiye kya karna hoga? Taki jis maksad ke liye kise ko taweez dum krke de diya jaye to kamiyabi mile?
    Assalamu alaikum

    ReplyDelete
  33. Ya allahu ki kisam hashtag ka tarika btade. Or yebhi btaden kya isme kise kism ka koi khatra hai? Dar asal me aisa ism ka Amel bnna chahta hu ki zakat ada karne ke bad mai us ism ka aisa amel ban jau ki jab kise ko jis kam ke liye bhi dum karke ya taweez pw dum karke dun to wo kam sar anjam Ho. Please meharbani karke detail me btaden kya kese karu?
    Dua ki darkhwast.
    Assalamu alaikum

    ReplyDelete
  34. Assallam.o.Alikum mera 1 sawal tha kiya ye Jo taweez net pe hoty hen ye kam karty hen our in ko pehna ja sakta he

    ReplyDelete
  35. Aslam O Alikum SIr main (subhan Allah he wabi hamdi he Subhalah hil Azeem wabi hamdi he AstagfiuAllah ki ) Zakat akbar al-kabaer dana chta hun Allah pakk= ka qurab hasil krny ka liay ap mujhy iska tadad nekal kar zarab laga kr bata dain or ya main fajar ki namaz ka bad krna chta hun . bhagr hisar ka kindly mujhy guide karain plz

    ReplyDelete
  36. Aoa. Ya haleemo ke wazeefe ki dosri kism ki zskat kitni hogi... or sb se important k zakat men prna kiya hota he... hr jaga zakat prne ka likha hoa he. Lene wazife ki zakat men prna kiya hd

    ReplyDelete
  37. 66×4=264 264×4=1056 1056×4=4224 4224,×4=16896

    ReplyDelete
    Replies
    1. Kiya ye zakat 40din se pehle bhi do Ja sakti he

      Delete
  38. @Abdul Khan
    40 days men karen tu behter hai

    ReplyDelete
  39. plz muje ye batade قدشغفھاحبا k zakat kese nikle ge.aur 40 days me puri karne he.kch prblms k waja se 40 days me na ho to 3rd kisam

    ReplyDelete
  40. Plz muje ayet karima ki zakat bta den or kiya ye during periods perh skte hai ??

    ReplyDelete
  41. ya wahhabu ke wazife me koi nuksaan aur jamali jalali prhez to nhi hai

    ReplyDelete
  42. meney ya wahhabu 41 days parha hai rozana 4000 tmes ...tou ab mujhay kaisey pata chalay ga kay mein kamiyab hua ya nahin aur us ko mein apnay liye kaisey use kar sakta hon plz guide mein .......

    ReplyDelete
  43. Asalamoalaikum
    Mujhe
    " لا اله الا الله ، الله اكبر
    Ki zakat bata den pls " zakaat kabeer be or sagheer bhi "

    I'll be thankful to u
    Urgent

    ReplyDelete
  44. Salam,
    Mujhe ya wahabo ka wird karne ke liye aapki ijajat chahiye naam: mohd faiz

    ReplyDelete
  45. Ya razzaqu ka wazifa batayeh for 40days, name: mohd faiz
    Ismein koi parhez hai ?
    Please madad karein aur ijaazat dein

    ReplyDelete
  46. Mera Pura naam Mirza Anisul Hassan Effendi hai, ( Mirza aur Effendi ) ye dono lafz merey family key her mard key nam key saath istemal hota aya hai, ab mujhey mere naam key sahi adad qamri chahiye, to kya behter ager aap khud thodi zahmat farma ker mujhey sahi adad bata dijiye. Jazakallah Khair

    ReplyDelete
  47. Mujhe jinn ka wazifa bataea 21 din ka or uska Pura tareeka Zakaat ke sath

    ReplyDelete
  48. mjhe ya muqaddimo or ya wasio ki zakaat maloom karni he mera naam mohammad mustafa he or meri pedaish 23 feb 1997 he or mjhe ya wuqaddimo or ya wasio btaya he ism e azam iski zakkat btadije JazakAllah

    ReplyDelete
  49. Salamo alikum janab muje surah jin aur surah rahman ki zakat ka tariqa tafsil se baten zazak Allah

    ReplyDelete
  50. Aslkm, mera isme azam ya raheemu hai, dusre tareeqe ke liye mujhe isko kitne martaba padhna padhege.

    ReplyDelete
  51. Assalamu Alaikum, please Ayat al kursi ki zakat ya amil bannein ka tareqa mehrbani farma ker bata dein. Jaza Kallah Khair

    ReplyDelete
  52. Myja ya kahhar ki zakat bats dain

    ReplyDelete
  53. Please mujhey يا ودود ki zakat bsta dein

    ReplyDelete
  54. Assalam alikum,
    Bhai Hanfi, MashaAllah aap ki koshish kafi achi hai, Allah pak aap ko sahet o tandrosti k sath omer daraz kare aur zindagi me khair o barkat ataa kare Amin.
    Bhai marifat ka asaan rasta bena kisi parez ke maloom karna hai JazakAllah

    ReplyDelete
  55. Sura muzammil Ki zakat ka tariqa Kia hai???
    Jazak Allah!!!!

    ReplyDelete
  56. ASSALAMUALAIKUM. ... ALHAMDULILLAH AAPNE KAAFI ACHCHE SE SMJHAYA H ALLAH AAPKO AJR E AZEEM AT A KRE . PR JO DOOSRI QISM AAPNE BATAYI H USNE 41 DIN KI MUDDAT POORI HONE KE BAAD KIS TADAAD ME PRHA JAYEGA

    ReplyDelete
  57. A.o.a sir, mai is ism ki zakat dena chahti hun plz ap ijazat day dijeya

    ReplyDelete
  58. A.o.a sir mai is ism ki zakat dena chahti hon plz mujhy ijazat day den or sath mai ism Allah'oo k b plz

    ReplyDelete
  59. Assalamolekum janab me ism ya ALLAH ki zaqat ada krna chahata hu kitne martaba parhu or kitne din tak
    Zaqat ada muje ye wali kism ki krni h Kisam Shasham.
    JazakAllah khairan kasiran

    ReplyDelete
    Replies
    1. ya Allah 77 martaba 41 din rozana parhay tou woh amal aik dafa kaam de ga.

      Delete
  60. Zakat, Durood Taj ke leeyahe gesay karthie hai. Please let me know

    ReplyDelete
  61. As slaaam o sakoon
    Mujhy sorah qousar ki zakaat bata dain kitny din parhni hay or kitni baar parhni hay

    ReplyDelete
  62. Mera naam ashif hai mai surah jinn ka amal karna chahta huin aap tarka batao ok

    ReplyDelete
  63. Sir teen din bade ali ka wazifa kiya rujjat ho gyee meri tabiyat bhut kharab ho gyee yakayak plzz batayiye ki akhir kha galati hui maine 50 martaba padha tha....Ab bhut ghabarahat aur dil ki dhadakan bhut zyada tez chal rhi hai...Kya kru....

    ReplyDelete
  64. sab phrna band kerden, sirf Surah Abas parhen 1 bar daily 11 days

    ReplyDelete
  65. aiytul kursi zakath kit ney bar hai

    ReplyDelete
  66. aiytul kursi zakath kit ney bar hai

    ReplyDelete
  67. Assalamualaikum
    Mera naam Azaz hai maa kaa naaam sayera hai .

    Mai La hawala wala quwwata illa billahil aliyil azeem ka amal karna chahta hu uski jakat kese ada kare aur kaise amal karna hai

    ReplyDelete
  68. Assalamualikum bhai mera name Abdul had I hai mai astaqfirulla ya. Zikr badi tadad ma karna chahata hu is ki zakat e Akbar Kay hogi kaisa padna hai aur aap ki ijazat chaheya.

    ReplyDelete
  69. Assalam O Alikum,

    Bhai Jan may Ya Jilani" par na cha ta hon mara name Mobeen hai

    ReplyDelete
  70. MUJHE YA HAFIZU KI ZAKAT NIKALNI HAI AUR MERI RUHANIYAT BHI BEDAR NAHI HAI ME KABTAK PADU

    ReplyDelete
  71. Assalam-O-Alaikum Hanif Bahi Muje Bismilla ka zakat nikalna hy

    ReplyDelete
  72. Mohammad Rashid me naam par isam e azam nikal kar bats de plz

    ReplyDelete
  73. Assalamualaikum janab me ye malom karna chahata hu ke agr kisi aml ya ayat k hurf ziada hain to uska kya method hai zakat ada karne ka
    Muje dosri zakat ada krni hai jo hamesha mere pas rhe amal ek bar zakat ada krne k bad.
    Badi badi ayato ki zakat kesy ada ki jati h
    Agr kisi ayat me 40 hurf hn to itne hazar bar tilawat krna mushkil hoga.
    Ye muje samjha dain.
    JazakAllah

    ReplyDelete
  74. Asalaam u Alaikum Sir kindly tell me the zaakat fo making a mwakil fo (ya Nooro ! )

    And ( ya kawiiyu) as cording to my name Noreen Asad!

    ReplyDelete
  75. Assalam o allikum sir muja darood taj k adad or zakat ka tarika bata dye or ma kya kya faida ly skhta hn or mokal se meri mulaqat kesa hn GI or pehrez b bta dye sukria abi tk muja koi darood e taj ka amil nai mila muja bhut shoq ha darood e taj parna ka sir meri rahnmai farmaiya sukria band hemesha ap ko duwao ma yad rakha ga

    ReplyDelete
  76. mujhy yah wadoodo ki zakat ada karni hay .. katni baar pharhoon yah ism e ALLAH

    ReplyDelete
  77. A.o.a
    sir mujy surah taha ayat 55 ki zakat kabeer bata dain

    ReplyDelete
  78. A.o.A
    sir mujy surah taha ayat 55 ki zakat kabeer bata dain .

    ReplyDelete
  79. Plz muje ayet karima ki zakat bta den or kiya ye during periods perh skte hai ??

    ReplyDelete
  80. Sir Allahus samad ki zakat bata dain

    ReplyDelete
  81. Assalamualikum zakat ada hone ke baad kitne bar padhe ,zakat e kabeer ka,
    504 hai adad please boliye

    ReplyDelete
  82. Assalamualikum ,Zakat e kabeer or zakat e akbar _kitne din padna hai
    Or apka koi YouTube channel hai

    ReplyDelete
  83. Bhai aik baat bataden k zakaat ki jo bhi tadad hoti hy wo kam az kam hoti jo rozana prhaty ya thora zayada bhi hojai tu koi issue ni???

    ReplyDelete